tamraiz_teji (29 posts so far) | | Dard kaisa Bhi ho Ankh Nam na karo...Raat kaali sahi koi Gham na karo
ik Sitara Bano Jagmagatay Raho...Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Baant'ni Hai Agar Baant Lo Har khushi...Gham na Zahir karo Tum kisi Per kabhi
Dil ki Gehraai Mein Gham Chupatay Raho....Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Ashk Anmool Hein kho Na Dena kahin....in ki Har Boond Hai Motiyoon Se Haseen
in ko Har Ankh se Tum Churatay Raho... Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Faaslay kam karo Dil Milatay Raho....Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho |
| | |
tamraiz_teji (29 posts so far) | | Wo Pani Ke Lehron Pe kiya Likh Raha Tha
Khuda Jane Harf-e-Dua Likh Raha Tha
Likha Tha Jis Ne Wafa Ka Maani Adhura
Wo Shaks Piyar Ki Intha Likh Raha Tha
Zara Us Ki Ankh Se Anso Na Nikle
Wo Jis Waqat Lafz-e-Saza Likh Raha Tha |
| | |
tamraiz_teji (29 posts so far) | | abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki
mujh per gard baqi hai
abhi woh dard baqi hai.....
|